Ana səhifə

Madrasse ke fawaid boys section-seniors-speech-2006-2007


Yüklə 34 Kb.
tarix27.06.2016
ölçüsü34 Kb.
MADRASSE KE FAWAID Boys section-seniors-speech-2006-2007

Dear teachers, friends, aur moaziz hazraat, salamalaikum.

Mein ali Mustafa abbas is madrasse mein 10 saal se parh raha hoon. Is madrasse ne meri puri zindagi hi badal di hai aur mujhe deen ki taraf raagib kar diya hai.aur deen ki taraf raghib hona khud ba khud is baat ka sabab ban jata hai kay hum apney gher, muaasherey aur mahoul kay leye mufeed afraad ban jayein is leye kay ye deeni taleem mazhab e ahley bait ki taleem hai aur taleemat e ahle bait hamesha gher mahual aur muaasherey kay nafay mein tamam hoti hain na kay us kay zarar mein.

Yahaan par mujhe ek acha mahaul mila aur koi mushkilon ka saamna nahi karna para.Yeh sab mere kaabil aur mehrbaan ustaadon ki mehnaton ka nateeja hai jo apni masroof zindagi se hamare liye kimti waqt nikaal kar yahaan aate hain aur hamein taalim dete hain.

Hum umer kay is marhaley per hain kay Hamare aur hamare doston ke zehnon mein tarah tarah ke sawaalat aate rehtay hain is mein say baaz sawalaat aesey hotay hain kay in ka jawab ager sahi waqt per na milley tu aagay chal ker ikhlaaqiyaat balkay aqaid tak mein bigaar ka sabab ban sakta hai lekin unka hamein yahaan qabil e itminaan jawaab milta hai. Hamare mazhab kay upar jo tarah tarah ke aitraaz dosrey mazaahib waley kertay hain unka bhi ham is madrasse ke zariye sahi jawaab dene ke kaabil ho jatein hain,jo hamarey ander apney aqeedey per aetemaad aur yaqeen kay barhney ka sabab banta hai

Yeh duniya gunaahon se aaloda hai.hum Muhammed wa aale Muhammed ki taleem main isi madrasse ke zariye apne aap ko gunahon se bachate hain kyonki madressay ki mukhtalif kitaaboon, classes, aur daroos kay zareye hamara ye shaaoor hamesha zinda rehta hai kay khuda aur Rasool ,aimma aur Imame Zamana hamarey tamam poshida aur gair poshida aamal ko daikh rahey hain.

Agercha kayi muqay aisay bhi aaye hain kay hamein lag raha tha kay fulan gunaah say bachna mumkin nahi ya bohat mushkil hai lekin Alhamdulillah ham madrasse mien discuss karke unka practical solution haasil karte hain aur khud ko gunaah se bacha lete hain.

Quraan ki aayat aur ahadeeth sun kar hamare andar ek deeni jazba paida hota hai. Jab ham madrasse mein aakar bohot saare logon ko apne aap se acha pate hai to hum apne aap ko improve karne ki koshish karte hain. Isi madrasse ke zariye hamein islaam ke sahi raaste par chalne ki taufeek ata hoti hai aur aimme tahireen ki marefat haasil hoti hai. Azadaari,wilayat aur marjaiyat ka tasavur hamare zehnon ko roshni bakhshta hai aur hum ahlulbayt ke sache followers banne ki koshish karte hain.

Madrasse ka ek aur bada fayda yeh bhi hai ki jo cheezen ham apne school ke doston se ya media se sunte hain aur apne walidayn se clarify nahi kar pate hai(sharm ya khauf se) to who batein hum madrasse ke saathi aut teachers ke saath discuss karke samajh sakte hain.

Isliye end mein main aap sabhi se yahi guzaarish karta hoon ki apne bachon ko madrassa zaroor bheje taki woh deen ki sahi taaleem haasil kar sakein aur imam zamana ke sache manne walen banein.aur ye kaisey hosakta ahi kay aik shaks aik taraf Imam Zamana ka sacha manney wala ho aur dosri janib apney waaledien ka dil dhukhaaney wala bhi ho yani ager app apney bachey ko deeni taaleeem say arasta ker rahey hain tu is ka faida aur samaraat(fruits) aik fermabardar farzand ki soorat mein sab say phelay waaleedain ko hi milney wala hai . Bachay ko ager sirf dunyavi taaleem hi di jaye tu agey chal ker ye bacha qabil to hosakta hai lekin huqooq e waleedain ka ahtaraam barqaraar rakhey is ki koi guarantee nahi.



Final

Hamari Zindagiyon Par Madrasse Ka Asar

Mehman-e-Khusoosi, moaziz hazireen-e-mehfil aur mere aziz sathiyon.

Mera aaj ka mauzu hai hamari zindagiyon par madrasse ka asar.

Mera naam Ali Mustafa abbas hai aur main is madrasse mein takreeban 10 saal se parh raha hoon. main apni baat karoon to Is madrasse ne meri puri zindagi hi badal di hai aur mujhe deen ki taraf raagib kar diya hai.aur deen ki taraf raghib hona khud ba khud is baat ka sabab ban jata hai kay hum apney ghar, muaasherey aur mahoul kay leye mufeed afraad ban jayein. is leye ki ye deeni taleem mazhab e ahley bait ki taleem hai aur taleemat e ahle bait hamesha ghar mahual aur muaasherey kay nafe mein tamam hoti hain na kay us kay zarar mein.yahaan par mujhe ek acha mahaul mila aur adjust honey mein koi mushkilon ka saamna nahi karna para.Yeh sab mere kaabil aur mehrbaan ustaadon ki mehnaton ka nateeja hai jo apni masroof zindagi se hamare liye kimti waqt nikaal kar yahaan aate hain aur hamein deen ki taalim dete hain.

Hum umer kay aise marhaley per hain kay Hamare aur hamare doston ke zehnon mein tarah tarah ke sawaalat aate rehtay hain in mein say baaz sawalaat aise hotay hain kay in ka jawab ager sahi waqt per na milley to aagay chal ker akhlaaqiyaat balkay aqaid tak mein bigaar ka sabab ban sakte hain lekin alhamdollilah aise sawalon ka hamein yahaan madrasse mein qabil e itminaan jawaab milta hai. Hamare mazhab kay upar jo tarah tarah ke aitraaz dosrey mazaahib waley kertay hain unka bhi ham is madrasse ke zariye sahi jawaab dene ke kaabil ho jatein hain.jo hamarey ander apney aqeedey per aetemaad aur yaqeen kay barhney ka sabab banta hai

Yeh duniya gunaahon se aaloda hai.hum Muhammed wa aale Muhammed ki taleem main isi madrasse ke zariye apne aap ko gunahon se bachate hain kyonki madressay ki mukhtalif kitaaboon, classes, aur daroos kay zareye hamara ye shaoor hamesha zinda rehta hai kay khuda aur Rasool aaimma aur Imame Zamana hamarey tamam poshida aur gair poshida aamal ko daikh rahey hain.

Agerche hamari zindagi mein kayi mouqay aese bhi aye hain kay hamein lag raha tha kay fullan gunaah say bachna mumkin nahi ya bohat mushkil hai lekin Alhamdulillah ham madrasse mein aakar aise problems ko discuss karke unka practical solution haasil karte hain aur khud ko gunaah se bacha lete hain.

Madrasse mein Quraan ki aayat aur ahadeeth sun kar hamare andar ek deeni jazba paida hota hai. Jab ham madrasse mein aakar bohot saare logon ko apne aap se acha pate hai to hum apne ko improve karne ki koshish karte hain aur apne aap ko aur zyada deendar banane ki koshish karte hain. Isi madrasse ke zariye hamein islaam ke sahi raaste par chalne ki taufeek ata hoti hai aur aimme tahireen ki marefat haasil hoti hai. Azadaari,wilayat aur marjaiyat ka tasavur hamare zehnon ko roshni bakhshta hai aur hum ahlulbayt ke sache manne wale banne ki koshish karte hain.

Madrasse ka ek aur bada fayda yeh bhi hai ki jo cheezen ham apne school ke doston se ya media se sunte hain aur apne walidayn se ya to khauf se ya sharm ke mare clarify nahi kar pate hai to who batein hum madrasse ke saathi aut teachers ke saath discuss karke samajh sakte hain aur unka hamein islami nazariya bhi pata chalta hai.

Isliye end mein main aap sabhi se yahi guzaarish karta hoon ki apne bachon ko madrassa zaroor bheje taki woh deen ki sahi taaleem haasil kar sakein aur imam zamana ke sache manne walen banein.aur ye kaisey ho sakta hai kay aik shaks aik taraf Imam Zamana ka sacha manney wala ho aur dosri janib apney waaledien ka dil dhukhaaney wala bhi ho yani ager aap apney bachey ko deeni taaleeem say arasta ker rahey hain tu iska faida aik fermabardar farzand ki sorat mein sab say pehlay waaleedain ko hi milta hai . bachay ko agar sirf dunyavi taaleem hi di jaye tu agey chal ker ye bacha qabil to hosakta hai lekin huqooq e waleedain ka ahtaraam barqaraar rakhey is ki koi guarantee nahi.

Isliye aaiye ham sab allah se yahi dua mangte hain ki allah hamein deen ki taleem haasil karne mein aur imam zamana ke sache manne walen banne ki taufeek ata kare.

Wa salalahu ala Muhammad wa aalihi tahireen.






Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©atelim.com 2016
rəhbərliyinə müraciət